Zafar Iqbal

pariyon aisa rup hai jis ka laDkon aisa nanw

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
pariyoñ aisā ruup hai jis kā laḌkoñ aisā naañv
saare dhande chhoḌ-chhāḌ ke chaliye us ke gaañv
pakkī saḌkoñ vaale shahr meñ kis se milne jaa.eñ
haule se bhī paañv paḌe to baj uThtī haiñ khaḌāñv
aate haiñ khultā darvāza dekh ke ruk jaate haiñ
dil par naqsh biThā jaate haiñ yahī ThiTakte paañv
pyāsā kavvā jañgal ke chashme meñ Duub marā
dīvāna kar detī hai peḌoñ kī mahaktī chhāñv
abhī na.ī baazī hogī phir se pattā Dāleñge
koī baat nahīñ jo haar ga.e haiñ pahlā daañv
Top Urdushayar.com