rah rah ke zabānī kabhī tahrīr se ham ne
qaa.el kiyā us ko isī tadbīr se ham ne
kis samt liye jaate ho aur kyā hai irāda
pūchhā na kabhī apne ināñ-gīr se ham ne
dil par koī qaabū na rahā jab to kisī taur
bāñdhā hai ye vahshī tirī zanjīr se ham ne
har baar madad ke liye auroñ ko pukārā
yā kaam liyā nāra-e-takbīr se ham ne
behtar hai ki ab kaam koī aur kiyā kar
ye bhī na kahā kātib taqdīr se ham ne
apnī hī karāmāt dikhāte rahe sab ko
sarqa na kiyā mojaza-e-'mīr' se ham ne
taḳhrīb to karte rahe sau tarha kī lekin
ye kaam kiyā jazba-e-tāmīr se ham ne
ab dekhiye kyā is kā nikaltā hai natīja
māthā hai lagāyā huā tāsīr se ham ne
vo bām-e-tamāshā huā ġhā.eb to 'zafar' aaj
laTkā liyā ḳhud ko kisī shahtīr se ham ne