Zafar Iqbal

mere nishan bahut hain jahan bhi hota hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
mire nishān bahut haiñ jahāñ bhī hotā huuñ
magar dar-asl vahīñ be-nishāñ bhī hotā huuñ
usī ke rahtā huuñ ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ aksar
magar kabhī kabhī apne yahāñ bhī hotā huuñ
idhar udhar mujhe rakhtā hai vo bahut lekin
kabhī-kabhār magar darmiyāñ bhī hotā huuñ
lagā bhī kartī hai bāzār meñ mirī qīmat
kisī kisī ke liye rā.egāñ bhī hotā huuñ
banā.e rakhte haiñ sab mīr-e-kārvāñ bhī mujhe
kabhī maiñ gard-e-rah-e-kārvāñ bhī hotā huuñ
bashar huuñ maiñ ka.ī majbūriyāñ bhī haiñ merī
udaas rahte hue shādmāñ bhī hotā huuñ
paḌā TheThurtā bhī huuñ barf barf mausam meñ
usī zamāne meñ ātish-fishāñ bhī hotā huuñ
badaltī rahtī hai merī bhī kaifiyat kyā kuchh
ki aag hī nahīñ rahtā dhuāñ bhī hotā huuñ
maiñ jān-o-jism huuñ ghar ho ki vo galī ho 'zafar'
yahāñ bhī hotā huuñ maiñ aur vahāñ bhī hotā huuñ
Top Urdushayar.com