Zafar Iqbal

agar kabhi tere aazar se nikalta hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
agar kabhī tire āzār se nikaltā huuñ
to apne dā.era-e-kār se nikaltā huuñ
havā-e-tāza huuñ ruknā nahīñ kahīñ bhī mujhe
gharoñ meñ ghustā huuñ ashjār se nikaltā huuñ
kabhī hai us ke mazāfāt meñ numūd mirī
kabhī maiñ apne hī āsār se nikaltā huuñ
maiñ ghar meñ jab nahīñ hotā to ghaas kī sūrat
darīcha o dar-o-dīvār se nikaltā huuñ
isī kināra-e-dariyā-e-zāt par har-dam
ġhurūb hotā huuñ us paar se nikaltā huuñ
vidā.a kartī hai rozāna zindagī mujh ko
maiñ roz maut ke mañjdhār se nikaltā huuñ
rukā huā koī sailāb huuñ tabī.at kā
hamesha tundi-e-raftār se nikaltā huuñ
ise bhī kuchh mirī himmat hī jāniye jo kabhī
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke ambār se nikaltā huuñ
libās bechtā huuñ jā ke pahle apnā 'zafar'
to kuchh ḳharīd ke bāzār se nikaltā huuñ
Top Urdushayar.com