khīñch laa.ī hai yahāñ lazzat-e-āzār mujhe
jahāñ paanī na mile aaj vahāñ maar mujhe
dhuup zālim hī sahī jism tavānā hai abhī
yaad aa.egā kabhī sāya-e-ashjār mujhe
sāl-hā-sāl se ḳhāmosh the gahre paanī
ab nazar aa.e haiñ āvāz ke āsār mujhe
baaġh kī qabr pe rote hue dekhā thā jise
nazar aayā vahī saaya sar-e-dīvār mujhe
gir ke sad paara huā abr meñ aTkā huā chāñd
sar pe chādar sī nazar aa.ī shab-e-tār mujhe
saañs meñ thā kisī jalte hue jañgal kā dhuāñ
sair-e-gulzār dikhāte rahe bekār mujhe
raat ke dasht meñ TuuTī thī havā kī zanjīr
sub.h mahsūs huī ret kī jhankār mujhe
vahī jaama ki mire tan pe na Thiik aatā thā
vahī in.aam milā āqibat-e-kār mujhe
jab se dekhā hai 'zafar' ḳhvāb-e-shabistān-e-ḳhayāl
bistar-e-ḳhāk pe sonā huā dushvār mujhe