Zafar Iqbal

tere raston se jabhi guzar nahin kar raha

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
tire rāstoñ se jabhī guzar nahīñ kar rahā
ki meñ apnī umr abhī basar nahīñ kar rahā
koī baat hai jo hai darmiyāñ maiñ rukī huī
koī kaam hai jo maiñ rāt-bhar nahīñ kar rahā
hai koī ḳhabar jo chhipā.e baiThā huuñ ḳhalq se
koī ḳhvāb hai jise dar-ba-dar nahīñ kar rahā
tirī baat koī bhī māntā nahīñ shahr meñ
to mirā kahā bhī kahīñ asar nahīñ kar rahā
kahīñ mere gird-o-navāh meñ koī shai nahīñ
maiñ kisī taraf bhī abhī nazar nahīñ kar rahā
koī shāḳh hai jise barg-o-bār nahīñ mile
koī shaam hai jise maiñ shajar nahīñ kar rahā
koī is pe ġhaur agar kare bhī to kis liye
ye suḳhan maiñ aap bhī soch kar nahīñ kar rahā
abhī merī apnī samajh meñ bhī nahīñ aa rahī
maiñ jabhī to baat ko muḳhtasar nahīñ kar rahā
ye maiñ apne aib jo kar rahā huuñ ayaañ 'zafar'
to dar-asl ye bhī koī hunar nahīñ kar rahā
Top Urdushayar.com