Zafar Iqbal

hawa badal gai us bewafa ke hone se

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
havā badal ga.ī us bevafā ke hone se
vagarna ḳhalq to ḳhush thī ḳhudā ke hone se
ḳhabar nahīñ mujhe matlūb aur kyā hai ki maiñ
zyāda ḳhush nahīñ arz o samā ke hone se
hamesha bar-sar-e-paikār huuñ kahīñ na kahīñ
mujhe ilāqa nahīñ bach-bachā ke hone se
ye shola dil se alag ho ke bhī nikal aayā
kuchh aag phail ga.ī hai havā ke hone se
ye shahr kuchh bhī mazāfāt ke baġhair nahīñ
vajūd asl meñ hai māvarā ke hone se
judā.ī chhoḌtī rahtī hai vasl kī ḳhushbū
maiñ zinda rahtā huuñ aksar qazā ke hone se
maiñ purza purza paḌā huuñ jahāñ-tahāñ har samt
ḳhafā sabhī haiñ mire jā-ba-jā ke hone se
zarūrateñ hī mirī ho nahīñ rahīñ puurī
rukā hai qāfila ik be-navā ke hone se
jo rah ga.ī hai ye ek aañch kī kasar to 'zafar'
vo zar-garī thī kisī kīmiyā ke hone se
Top Urdushayar.com