Zafar Iqbal

mila to manzil-e-jaan mein utarne na diya

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
milā to manzil-e-jāñ meñ utārne na diyā
vo kho gayā to kisī ne pukārne na diyā
ravāñ davāñ hai yūñhī kashti-e-zamāñ ab bhī
magar vo lamha jo dil ne guzārne na diyā
lagī thī jaan kī baazī bisāt ulaT Daalī
ye khel bhī hameñ yāroñ ne hārne na diyā
koī sadā mire sabr-o-sukūt se na uThī
koī maza tire qaul-o-qarār ne na diyā
vahī ilāj-e-shab-e-saḳhti-e-ḳhizāñ thā 'zafar'
jo ek phuul kisī nau-bahār ne na diyā
Top Urdushayar.com