Zafar Iqbal

tere aasman ki zamin ho gaya hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
tire āsmāñ kī zamīñ ho gayā huuñ
huā huuñ to apne ta.iiñ ho gayā huuñ
milī hai jagah dil meñ thoḌī sī us ke
samajh lo ki gosha-nashīñ ho gayā huuñ
yahāñ par maiñ honā nahīñ chāhtā thā
magar hote hote yahīñ ho gayā huuñ
tire paañv paḌne se inkār kar duuñ
maiñ itnā to ḳhud-sar nahīñ ho gayā huuñ
jahāñ mujh ko hone se rokā thā us ne
nahīñ baaz aayā vahīñ ho gayā huuñ
makāñ jis kā naqsha abhī ban rahā hai
maiñ filhāl us kā makīñ ho gayā huuñ
tavajjoh kā tālib huuñ is tarah se bhī
agar aap kā nukta-chīñ ho gayā huuñ
buḌhāpe se aglī ye manzil hai koī
javāñ ho gayā huuñ hasīñ ho gayā huuñ
ise bhī 'zafar' merī himmat hī samjho
kahīñ ho na paayā kahīñ ho gayā huuñ
Top Urdushayar.com