Zafar Iqbal

dariya dur nahin aur pyasa rah sakta hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
dariyā duur nahīñ aur pyāsā rah saktā huuñ
us se mile baġhair bhī zinda rah saktā huuñ
us kī be-taufīq mohabbat ke jañgal meñ
aadhā gum ho kar bhī aadhā rah saktā huuñ
kaisā rahtā huuñ mat pūchho shahr meñ us ke
vaisā hī rahtā huuñ jaisā rah saktā huuñ
tanhā rahne meñ bhī koī uzr nahīñ hai
lekin us ke saath hī tanhā rah saktā huuñ
vo bhī dāman chhoḌne ko tayyār nahīñ hai
maiñ bhī abhī is shāḳh se uljhā rah saktā huuñ
kuchh mujh ko ḳhud bhī andāza honā chāhiye
kitnā zaa.e ho kar kitnā rah saktā huuñ
jis hālat se nikal aayā huuñ koshish karke
is meñ vo chāhe to dobāra rah saktā huuñ
ek anokhe ḳhvāb ke andar sote jāgte
rahtā huuñ maiñ aur hamesha rah saktā huuñ
jitne fāsle par rakhtā hai 'zafar' vo mujh ko
rah bhī saktā huuñ lekin kyā rah saktā huuñ
Top Urdushayar.com