Zafar Iqbal

kufr se ye jo munawwar meri peshani hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kufr se ye jo munavvar mirī peshānī hai
zāhir is se bhī mirā jazba-e-īmānī hai
ye jo yaksūī mayassar hai mujhe shaam o sahar
sar-ba-sar mere liye vaj.h-e-pareshānī hai
is kināre pe faqat maiñ huuñ akelā ḳhālī
nahr ke dūsrī jānib mirī hairānī hai
ḳhaak uḌtī hai to har-sū mire andar varna
jis taraf maiñ huuñ vahāñ chāroñ taraf paanī hai
jo siyah-fām hai andar kī taraf se jitnā
us ke chehre pe yahāñ utnī hī tābānī hai
mausamoñ se abhī māyūs nahīñ huuñ yaksar
ik havā hai jo abhī merī taraf aanī hai
dil meñ kyā sūrat-e-hālāt hai khultā nahīñ kuchh
kyā kamī hai yahāñ kis shai kī farāvānī hai
ye ajab tarha kā bāzār-e-suḳhan hai ki jahāñ
maiñ hī nāyāb huuñ aur merī hī arzānī hai
āzmā.ish meñ hī rakhtā huuñ sadā ḳhud ko 'zafar'
merī mushkil hī sarāsar mirī āsānī hai
Top Urdushayar.com