Zafar Iqbal

lahr ki tarah kinare se uchhal jaana hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
lahr kī tarah kināre se uchhal jaanā hai
dekhte dekhte hāthoñ se nikal jaanā hai
dopahar vo hai ki hotī nazar aatī hī nahīñ
din hamārā to bahut pahle hī Dhal jaanā hai
jī hamārā bhī yahāñ ab nahīñ lagtā itnā
aaj agar rok liye jaa.eñ to kal jaanā hai
dil meñ khiltā huā ik āḳhirī ḳhvāhish kā ye phuul
jaate jaate ise ḳhud maiñ ne masal jaanā hai
jo yahāñ ḳhud hī lagā rakkhī hai chāroñ jānib
ek din ham ne isī aag meñ jal jaanā hai
chaltī ruktī huī ye husn bhī hai ek havā
mausam-e-ishq bhī ik roz badal jaanā hai
jaise ghuTTī meñ koī ḳhauf paḌā ho is kī
bāt-be-bāt hī is dil ne dahal jaanā hai
aur to honī hai kyā apnī vasūlī us se
muñh pe kālak ye mulāqāt kī mal jaanā hai
maiñ bhī kuchh der se baiThā huuñ nishāne pe 'zafar'
aur vo kheñchā huā tiir bhī chal jaanā hai
Top Urdushayar.com