girne kī tarah kā na sambhalne kī tarah kā
saarā vo safar ḳhvāb meñ chalne kī tarah kā
bārish kī bahut tez havā meñ kahīñ mujh ko
darpesh thā ik marhala jalne kī tarah kā
ik chāñd ubharne kī tarah kā mire bāhar
sūraj mire andar koī Dhalne kī tarah kā
aisā hai ki rahtā hai sadā saath bhī us ke
manzar koī poshāk badalne kī tarah kā
uḌtī huī sī ret vahī dasht meñ har-sū
paanī vahī dariyā meñ uchhalne kī tarah kā
kaisī ye ḳhizāñ chhā.ī hai mujh meñ ki sarāsar
mausam hai vahī phūlne phalne kī tarah kā
kyā dil kā bharosā hai ki is aab o havā meñ
vaise hī ye paudā nahīñ palne kī tarah kā
mālūm bhī thā mujh ko magar bhuul chukā huuñ
rasta koī jañgal se nikalne kī tarah kā
maiñ to yahī samjhā 'zafar' is baar bhī shāyad
mujh par ye burā vaqt hai Talne kī tarah kā