Zafar Iqbal

jaisi ab hai isi haalat mein nahin rah sakta

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
jaisī ab hai isī hālat meñ nahīñ rah saktā
maiñ hamesha to mohabbat meñ nahīñ rah saktā
khul ke ro bhī sakūñ aur hañs bhī sakūñ jī bhar ke
abhī itnī bhī farāġhat meñ nahīñ rah saktā
dil se bāhar nikal aanā mirī majbūrī hai
maiñ to is shor-e-qayāmat meñ nahīñ rah saktā
kuuch kar jaa.eñ jahāñ se mire dushman ai dost
maiñ vahāñ bhī kisī sūrat meñ nahīñ rah saktā
koī ḳhatra hai mujhe aur tarah kā ai dost
maiñ jo ab terī hifāzat meñ nahīñ rah saktā
chāhiye hai mujhe kuchh aur hī māhaul ki maiñ
aur ab apnī rifāqat meñ nahīñ rah saktā
kuchh bhī maiñ kartā-karātā to nahīñ huuñ lekin
bāvajūd is ke farāġhat meñ nahīñ rah saktā
shak mujhe yuuñ to ḳhayānat kā nahīñ hai koī
maiñ kisī kī bhī amānat meñ nahīñ rah saktā
vaise rahne ko to ḳhush-bāsh hī rahtā huuñ 'zafar'
sach jo pūchheñ to haqīqat meñ nahīñ rah saktā
Top Urdushayar.com