Zafar Iqbal

kuchh bhi na uski zinat-o-zebai se hua

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kuchh bhī na us kī zīnat-o-zebā.ī se huā
jitnā fasād hai mirī yaktā.ī se huā
lagtā hai itnā vaqt mire Dūbne meñ kyuuñ
andāza mujh ko ḳhvāb kī gahrā.ī se huā
lāzim thā jast bharne kī ḳhātir ye kaam bhī
vāqif maiñ apne aap kā paspā.ī se huā
kaafī thā yuuñ to rañg-e-tamāshā ba-zāt-e-ḳhud
jo bach rahā vo kaam tamāshā.ī se huā
huuñ kis qadar kisī ke shumār o qatār meñ
zāhir vahāñ pe apnī pazīrā.ī se huā
kamzoriyāñ hamārī huiiñ vā-shgāf jab
apnā bhī hashr puurī tavānā.ī se huā
jo asl chiiz thī vo chhupī rah ga.ī kahīñ
kuchh fā.eda na hāshiya-ārā.ī se huā
khulnā thā apne aib o hunar kā bharam kahāñ
ye bhī huā to qāfiya-paimā.ī se huā
hañgāma garm hai jo mire chār-sū 'zafar'
so bhī hujūm se nahīñ tanhā.ī se huā
Top Urdushayar.com