Zafar Iqbal

na koi zaKHm laga hai na koi dagh paDa hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
na koī zaḳhm lagā hai na koī daaġh paḌā hai
ye ghar bahār kī rātoñ meñ be-charāġh paḌā hai
ajab nahīñ yahī kaif-āfrīñ ho shām-e-abad tak
jo tāq-e-sīna meñ ik ḳhuun kā ayāġh paḌā hai
kabhī rulā.egī us yār-e-bevafā kī tamannā
jo zindagī hai to sad lamha-e-farāġh paḌā hai
ye ek shāḳhcha-e-ġham se itne phuul jhaḌe haiñ
kabhī qarīb se guzro to ek baaġh paḌā hai
Top Urdushayar.com