Zafar Iqbal

bewafai karke niklun ya wafa kar jaunga

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
bevafā.ī karke niklūñ yā vafā kar jā.ūñgā
shahr ko har zā.iqe se āshnā kar jā.ūñgā
tū bhī DhūñDegā mujhe shauq-e-sazā meñ ek din
maiñ bhī koī ḳhūb-sūrat sī ḳhatā kar jā.ūñgā
mujh se achchhā.ī bhī na kar merī marzī ke ḳhilāf
varna maiñ bhī haath koī dūsrā kar jā.ūñgā
mujh meñ haiñ gahrī udāsī ke jarāsīm is qadar
maiñ tujhe bhī is maraz meñ mubtalā kar jā.ūñgā
shor hai is ghar ke āñgan meñ 'zafar' kuchh roz aur
gumbad-e-dil ko kisī din be-sadā kar jā.ūñgā
Top Urdushayar.com