Zafar Iqbal

pae hue is waqt ko khona hi bahut hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
paa.e hue is vaqt ko khonā hī bahut hai
niiñd aa.e to is haal meñ sonā hī bahut hai
itnī bhī farāġhat hai yahāñ kis ko mayassar
ye ek taraf baiTh ke ronā hī bahut hai
tujh se koī filhāl talab hai na tamannā
is shahr meñ jaise tirā honā hī bahut hai
ham oḌh bhī lete haiñ ise vaqt-e-zarūrat
ham ko ye mohabbat kā bichhaunā hī bahut hai
ugtā hai ki miTTī hī meñ ho jaatā hai miTī
is biij kā is ḳhaak meñ bonā hī bahut hai
ḳhush-hāl bhī ho saktā huuñ maiñ chashm-e-zadan meñ
mere liye us jism kā sonā hī bahut hai
apne liye in chāñd sitāroñ ko sar-e-shām
is shāḳh-e-tamāshā meñ pironā hī bahut hai
pahle hī bahut ḳhaak uḌaa.ī hai yahāñ par
mere liye is dasht kā konā hī bahut hai
dariyā kī ravānī ko 'zafar' chhoḌiye filhāl
thoḌā sā ye hoñToñ ko bhigonā hī bahut hai
Top Urdushayar.com