Zafar Iqbal

chhupa hua jo numudar se nikal aaya

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
chhupā huā jo numūdār se nikal aayā
ye farq bhī tire inkār se nikal aayā
palaT paḌā jo maiñ sar phoḌ kar mohabbat meñ
to rāsta isī dīvār se nikal aayā
mujhe ḳharīdnā kuchh bhī na thā isī ḳhātir
maiñ ḳhud ko bech ke bāzār se nikal aayā
abhī to apne khañDar hī kī sair thī baaqī
ye tū kahāñ mire āsār se nikal aayā
bahut se aur tilismāt muntazir haiñ mire
agar kabhī tire asrār se nikal aayā
mujhe bhī de rahe the ḳhil.at-e-vafā lekin
nazar bachā ke maiñ darbār se nikal aayā
sire se jo kahīñ maujūd hī na thā āḳhir
vo naqs bhī mire kirdār se nikal aayā
na.ī fazā na.e āfāq haiñ usī ke liye
jo aaj uḌtī huī Daar se nikal aayā
usī ko ek ġhanīmat qarār dūñgā 'zafar'
jo ek sher bhī tūmār se nikal aayā
Top Urdushayar.com