Zafar Iqbal

chamakti wusaton mein jo gul-e-sahra khila hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
chamaktī vus.atoñ meñ jo gul-e-sahrā khilā hai
koī kah de agar pahle kabhī aisā khilā hai
azal se gulshan-e-hastī meñ hai maujūd bhī vo
magar lagtā hai jaise aaj hī taaza khilā hai
baham kaise hue haiñ dekhnā ḳhvāb aur ḳhushbū
guzarte mausamoñ kā āḳhirī tohfa khilā hai
lahū meñ ik alag andāz se mastūr thā vo
sar-e-shāḳh-e-tamāshā aur bhī tanhā khilā hai
kahāñ ḳhāk-e-madīna aur kahāñ ḳhākistar-e-dil
kahāñ kā phuul thā lekin kahāñ par aa khilā hai
kabhī dil par girī thī shabnam-e-ism-e-mohammad
mirī har saañs meñ kaliyoñ kā majmua khilā hai
yahī rauzan banegā ek din dīvār-e-jāñ meñ
mire dil meñ nidāmat kā jo ik lamha khilā hai
yahīñ tak laa.ī hai ye zindagī bhar kī masāfat
lab-e-dariyā huuñ maiñ aur vo pas-e-dariyā khilā hai
bikhartā jā rahā hai duur tak rañg-e-judā.ī
'zafar' kyā pūchhte ho zaḳhm-e-dil kaisā khilā hai
Top Urdushayar.com