kabhī avval nazar aanā kabhī āḳhir honā
aur vaqfoñ se mirā ġhā.eb o hāzir honā
maiñ kisī aur zamāne ke liye huuñ shāyad
is zamāne meñ hai mushkil mirā zāhir honā
maiñ na hone pe hī ḳhush thā magar aise huā phir
mujh ko nā-chār paḌā aap kī ḳhātir honā
duur ho jā.ūñ bhī is bāġh-e-badan se lekin
kahīñ mumkin hī nahīñ aise manāzir honā
vāqa.ī tum ko dikhā.ī hī nahīñ detā huuñ
yā zarūrat hai tumhārī mirā munkir honā
rāsta aap banānā hī koī sahl nahīñ
phir usī rāste kā aap musāfir honā
vo maqāmāt-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus
aur mirā aise nishānāt kā zaa.er honā
bādaloñ aur havāoñ meñ uḌā phirtā maiñ
kaash hotā mirī taqdīr meñ taa.ir honā
kaam niklā hai kuchh utnā hī ye pechīda 'zafar'
jitnā āsāñ nazar aayā mujhe shā.er honā