jo na mil baiThā ho phir us se shikāyat kaisī
maiñ akelā hī chalā huuñ to rifāqat kaisī
ḳhud to ā.eñge nahīñ aur bulā.eñge hameñ
dekhiye aap ne Daalī ye rivāyat kaisī
maiñ ne chāhā to bahut TuuT ke chāhā na gayā
yuuñ bhī TuuTī hai ka.ī baar qayāmat kaisī
tum ne jiine kā mujhe hausla baḳhshā hai to phir
mujh se rahte ho gurezāñ ye siyāsat kaisī
jab bichhaḌnā hī mohabbat kā taqāza Thahrā
phir nigāhoñ meñ mirī jaañ ye nadāmat kaisī