nā-karda gunāhoñ kī sazā aur hī kuchh hai
mansūr anal-haq kī jazā aur hī kuchh hai
kyā ham se musāfir ko qarār aa bhī sakegā
manzil koī manzil kā pata aur hī kuchh hai
girne se bhī dil par kabhī choT aa.ī kisī ko
ma.alūm ye hotā hai huā aur hī kuchh hai
dushnām-tarāzī hī nahīñ rañj kā baa.is
mil baiTh ke dekho to gilā aur hī kuchh hai
jhampīr meñ paa.ī hai faqat ābla-pā.ī
masqat ne to 'manzar' ko diyā aur hī kuchh hai