daur-e-ḳhizāñ meñ jashn-e-bahārāñ dikhā.ī de
ab chaak chaak apnā garebāñ dikhā.ī de
kab tak raheñge sāhil-o-tūfāñ ke darmiyāñ
kab tak ye zindagī hameñ zindāñ dikhā.ī de
mere ḳhudā sazā-o-jazā ab yahāñ bhī ho
ye sarzamīñ bhī adl kā unvāñ dikhā.ī de
is daur-e-gumrahī kī zarūrat hai nuuh kī
sāhil-ba-dast phir vahī tūfāñ dikhā.ī de
'manzar' maiñ thak chukā huuñ yahī DhūñDte hue
is daur-e-nā-shanās meñ insāñ dikhā.ī de