jab vo yūsuf hī na ho misr ke bāzār ke paas
phir bhalā kaun sā jazba ho ḳharīdār ke paas
pahle har shaḳhs thā iḳhlās-o-vafā kā paikar
ab ye daulat bhī kahāñ miltī hai do-chār ke paas
ham-safar mere aqīdat se qadam chhūne lage
mujh ko dekhā jo kabhī jubba-o-dastār ke paas
ab to apnoñ meñ muravvat kī hai daulat mafqūd
ye ḳhazīna bhī hameñ miltā hai aġhyār ke paas
husn hī husn hai mahfil meñ tumhārī lekin
tāb-e-dīdār nahīñ tālib-e-dīdār ke paas
muflisī apnoñ ko begāna banā detī hai
koī aatā nahīñ girtī huī dīvār ke paas
muskurātā hai ġham-e-zīst meñ 'manzar' aise
phuul jis tarah gulistāñ meñ khile ḳhaar ke paas