Jawed Manzar

baghair samt hua hun main dar-ba-dar kaisa

Jawed Manzar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
baġhair samt huā huuñ maiñ dar-ba-dar kaisā
mujhe bhī ḳhvāb dikhā.ī diyā magar kaisā
ḳhayāl ḳhātir-e-abr-e-bahār kar na sake
ḳhizāñ ne luuT liyā ab ke ghar kā ghar kaisā
na vo hurūf meñ ḳhushbū na vo suḳhan kī miThās
badal diyā hai zamāne ne ham-safar kaisā
ham ahal-e-ḳhair nikal aa.e kis ḳharābe meñ
nizām-e-shar meñ banā.eñ ab apnā ghar kaisā
maiñ apne aap hī apnā vajūd bech aayā
mujhe rakhā mire apnoñ ne be-ḳhabar kaisā
ham apne ghar meñ haiñ zinda misāl shabnam-e-gul
banā hai partav-e-ḳhur ye hisār-e-dar kaisā
gayā jo de ke aziyyat-shanāsā.iyāñ 'manzar'
milā dobāra to aayā tumheñ nazar kaisā
Top Urdushayar.com