haañ mahfil-e-yārāñ meñ aisā bhī maqām aayā
maiñ ḳhud ko bhulā baiThā jab bhī tirā naam aayā
maiñ apne hī paikar se is darja pareshāñ thā
sochā ki bikhar jā.ūñ jab bhī tah-e-dām aayā
duniyā meñ hazāroñ haiñ mansūr bhī sarmad bhī
kyuuñ lauh-e-sadāqat par ik merā hī naam aayā
kyā jism ke zindāñ se āzād kiyā mujh ko
kyā koī sar-e-maqtal yaaro mire kaam aayā
har shaḳhs ke chehre par ik karb kā manzar hai
shāyad lab-e-getī par taḳhrīb kā naam aayā