jān-e-gulshan jo hue vo gul-e-tar dekhe haiñ
ham ne mausam ke hasīñ rañg kidhar dekhe haiñ
tum se milte haiñ jo ham un kī tasallī ke liye
varna aise to bahut shām-o-sahar dekhe haiñ
ālam-e-be-sar-o-sāmāñ nahīñ guzrā tum par
tum ne kab aag meñ jalte hue ghar dekhe haiñ
hākim-e-vaqt diloñ par thī hukūmat un kī
ham ne aise bhī ka.ī ḳhāk-basar dekhe haiñ
apne hāthoñ hī miTā dete haiñ ḳhud apnā nishāñ
aise insān nahīñ dekhe magar dekhe haiñ
in galī-kūchoñ pe ye vaqt bhī aayā 'manzar'
shahar vāloñ ke badan ḳhuun meñ tar dekhe haiñ