be-ḳhabar sā.ebāñ abhī tak hai
dhuup mujh par yahāñ abhī tak hai
mere hone kā kyā yaqīn use
ḳhud mujhe bhī gumāñ abhī tak hai
raaz to khul gayā zamāne par
aur vo rāz-dāñ abhī tak hai
aaj bhī to vahī hai nahr-e-furāt
kyā vahī hukmarāñ abhī tak hai
sab to sairāb ho ga.e 'manzar'
kyuuñ ye jū-e-ravāñ abhī tak hai