Amardeep Singh

tu gaya lekin teri yaaden yahan par rah gain

Amardeep Singh

Patiala, Punjab, India

1983
tū gayā lekin tirī yādeñ yahāñ par rah ga.iiñ
baad tere bas tirī bāteñ zabāñ par rah ga.iiñ
pahle terī zaat kā paikar kahīñ par gum huā
aur na jaane phir tirī yādeñ kahāñ par rah ga.iiñ
aaj phir aisā huā jab soch kar tujh ko ai dost
āsmāñ taktī nigāheñ āsmāñ par rah ga.iiñ
kyā sitam hai kal talak jo sāmne āñkhoñ ke thiiñ
aaj vo sab sūrateñ vahm-o-gumāñ par rah ga.iiñ
dāstān-e-zindagī ke harf kab ke miT chuke
kuchh lakīreñ sī faqat ab dāstāñ par rah ga.iiñ
vaqt-e-āḳhir chal diye tanhā safar kī aur ham
sab kī sab chīzeñ jahāñ kī is jahāñ par rah ga.iiñ
Top Urdushayar.com