TuuT jaa.e to kahīñ us ko bhī chain aatā hai
dil-e-be-tāb taḌap kar hī sukūñ paatā hai
aap aate to Thahar jaate ye lamhe shāyad
vaqt ko yuuñ bhī guzarnā hai guzar jaatā hai
is tasavvur se ki shab bhar tirī rah dekheñge
shaam aatī hai to dil Duub ke rah jaatā hai
ġham kā ehsās bhī gumbad kī sadā ho jaise
dil se Takrātā hai phir dil meñ palaT aatā hai
vus.at-e-dīd nigāhoñ kā muqaddar na banī
aañkh ke til meñ to aalam bhī simaT aatā hai
ashk thamte haiñ to ho jaatī haiñ āñkheñ ḳhūñ-rañg
jaañ sambhaltī hai to dil zabt se mar jaatā hai
koī nisbat hai tere naam se 'sīmīñ' varna
yuuñ kisī baat kā ilzām liyā jaatā hai