chale the bhar ke ret jab safar kī jism-o-jāñ meñ ham
to sāhiloñ kā aks dekhte the bādbāñ meñ ham
tuyūr the jo ghoñsloñ meñ paikaroñ ke uḌ ga.e
akele rah ga.e haiñ apne ḳhvāb ke makāñ meñ ham
hamārī justujū bhī ab to ho ga.ī hai gard gard
ki naqsh-e-pā ko DhūñDte haiñ rah ke har nishāñ meñ ham
ishāriyat thī be-zabāñ thā lafz lafz dāstāñ
sunāte kis tarah ki gum the ḳhud hī dāstāñ meñ ham
baras rahī hai āsmāñ se misl-e-sañg tīrgī
khaḌe haiñ kab se terī aarzū ke sā.ebāñ meñ ham
zamīñ kā dard be-badan bhī ho ke apne dil meñ thā
tabhī to khiñch ke aa ga.e the varna āsmāñ meñ ham
nafas nafas hai zindagī kā kārobār muntashar
dīvāliya hue ki jab se aa.e is jahāñ meñ ham