hāthoñ se mere chhīn kar dil kā ma.aal le ga.ī
jaane kahāñ kahāñ mujhe gardish-e-hāl le ga.ī
kaam na koī aa sakā lekin ye aañkh kī namī
silsila-e-ġhubār se mujh ko nikāl le ga.ī
mauj-e-havas ke dosh par koh-e-siyāh tak gayā
mujh ko havā-e-shauq phir tā-ba-zavāl le ga.ī
uñgliyāñ toḌe koī kar le zabān sañg kī
dekhiye sabqat-e-sharaf saut-e-bilāl le ga.ī
tez havā uḌā chale jis tarah barg-e-zard ko
us kī hañsī bhī apne saath merā savāl le ga.ī
sāmne bahr-e-be-karāñ qaidī yak jazīra meñ
phir bhī maiñ us se jā milā mauj-e-ḳhayāl le ga.ī