Aleem Afsar

ban kar lahu yaqin na aae to dekh len

Aleem Afsar

ban kar lahū yaqīn na aa.e to dekh leñ
Tapkī haiñ pā-e-ḳhvāb se sahrā kī vus.ateñ
pūchhe kabhī jo aabla paa.ī kī dāstāñ
dariyā se kah bhī dete pa sahrā se kyā kaheñ
chalnā hai saath saath rah-e-zīst meñ to aao
nā-āshnā.iyoñ kī qabā.eñ utaar deñ
jis ko chhupā ke dil meñ samundar ne rakh liyā
bādal ke muñh se aao vahī dāstāñ suneñ
paañv meñ kitne tāroñ ke kāñTe chubho liye
is ek aarzū meñ ki sūraj se jā mileñ
chehroñ pe chun ke phaile the qaus-e-quzah ke rañg
aao ḳharīd laa.eñ kahīñ se vo sā.ateñ
bādal ne aa ke rok diyā varna ek din
ik aag piine vaalī thī jañgal kī uljhaneñ
Top Urdushayar.com