na pūchh rabt hai kyā us kī dāstāñ se mujhe
bichhaḌ gayā ki bichhaḌnā thā kārvāñ se mujhe
mire badan meñ koī bhar de barf ke TukḌe
ki aañch aatī hai rātoñ ko kahkashāñ se mujhe
kirāya-dār badalnā to us kā sheva thā
nikāl kar vo bahut ḳhush huā makāñ se mujhe
sadā.eñ jism kī dīvār paar kartī haiñ
koī pukār rahā hai magar kahāñ se mujhe
khaḌā khaḌā yūñhī sar par kahīñ na aan gire
lagā hī rahtā hai ye dar bhī āsmāñ se mujhe
ab us kī baarī hai to us se kaise muñh moḌūñ
kabhī to us ne bhī chāhā thā jism-o-jāñ se mujhe
mire irādoñ ko vo mujh se pūchh kar 'afsar'
do-chār kar gayā ik aur imtihāñ se mujhe