niile piile siyāh surḳh safed sab the shāmil isī tamāshe meñ
yūrish-e-rañg ne zalīl kiyā aañkh gum ho ga.ī tamāshe meñ
koī bhī in meñ chārasāz na thā sabhī bīmār-e-justujū nikle
tum hī socho ki be-dilī kis se rāsta pūchhtī tamāshe meñ
jism kā sonā ruup kī chāñdī kaun sā dhan kisī ke paas rahā
ek merā tumhārā qissa kyā saarī duniyā luTī tamāshe meñ
chāñd thā sāhil-e-nafas ke qarīb ek din mere dil meñ Duub gayā
sub.h kā raaz rā.egāñ Thahrā shaam bhī ghul ga.ī tamāshe meñ
kabhī dariyā ke saath saath baḌhe kahīñ ThiThke kahīñ nazar na uThī
ek umr-e-ravāñ thī jī kā ziyāñ so guzartī rahī tamāshe meñ
ek sho.ala havas kā bas meñ na thā āp-apne se haath dho baiThe
ḳhaak āġhāz ḳhaak hī anjām aag aisī lagī tamāshe meñ