Shamim Hanafi

phir lauT ke is bazm mein aane ke nahin hain

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
phir lauT ke is bazm meñ aane ke nahīñ haiñ
ham log kisī aur zamāne ke nahīñ haiñ
ik duur kinārā hai vahīñ jā ke rukeñge
jitne bhī yahāñ ghar haiñ Thikāne ke nahīñ haiñ
yuuñ jāgte rahnā hai to āñkhoñ meñ hamārī
jo ḳhvāb chhupe haiñ nazar aane ke nahīñ haiñ
dil hai to ye daulat kabhī ma.adūm na hogī
ye dard kisī aur ḳhazāne ke nahīñ haiñ
kal raat ḳhamoshī ne ajab rañg dikhā.e
ye sher agar haiñ to sunāne ke nahīñ haiñ
har samt ujālā bhī hai sūraj bhī hai lekin
ham apne charāġhoñ ko bujhāne ke nahīñ haiñ
duniyā ne bhī kuchh ham ko bahut gher liyā hai
kuchh ham bhī use chhoḌ ke jaane ke nahīñ haiñ
Top Urdushayar.com