Shamim Hanafi

kai raaton se bas ek shor sa kuchh sar mein rahta hai

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
ka.ī rātoñ se bas ik shor sā kuchh sar meñ rahtā hai
ki vo but bhī nahīñ phir kis tarah patthar meñ rahtā hai
vahāñ sahrā bhī hai jañgal bhī dariyā bhī chaTāneñ bhī
ajab duniyā basā rakkhī hai vo jis ghar meñ rahtā hai
khilegī dhuup jab parchhā.iyāñ peḌoñ se nikleñgī
ye manzar bhī isī simTe hue manzar meñ rahtā hai
buland o past kī tafrīq kyā sab ek jaise haiñ
magar parvāz kā saudā jo bāl-o-par meñ rahtā hai
isī baa.is zamīñ kī god se uThtā nahīñ koī
bahut ārām girne TūTne ke Dar meñ rahtā hai
Top Urdushayar.com