ab qais hai koī na koī ābla-pā hai
dil aaTh pahar apnī hadeñ DhūñD rahā hai
ehsās kī vaadī meñ koī saut na sūrat
ye manzil-e-irfān tak aane kā sila hai
zaḳhmoñ ke bayābāñ meñ koī phuul na patthar
yādoñ ke jazīre meñ na but haiñ na ḳhudā hai
ik ḳhaak ke paikar kā tamāsha hai saḌak par
har shaḳhs yahāñ qahr kī tasvīr banā hai
miTTī ke gharauñde meñ sitāroñ ke diye haiñ
āñgan meñ añdherā na ujālā na havā hai
ab anjuman-e-shauq meñ sham.eñ na patiñge
ab marg-e-musalsal kī sazā hai na jazā hai
chashmoñ ko shikāyat hai ki sho.aloñ meñ ghire haiñ
sahrā ko ye dukh hai ki paḌā suukh rahā hai
ab naḳhl-e-rah-e-shauq na saa.e na manāzil
ab ābrū-e-ishq na saudā na vafā hai
ab paañv musāfir haiñ nafas marhala-e-zīst
ab vaqt ke hāthoñ pe na ḳhuuñ hai na hinā hai
ḳhūñ-rañg shafaq-rañg ḳhizāñ-rañg haiñ chehre
jismoñ pe kafan hai na koī surḳh qabā hai
sūraj ko hathelī pe lakīroñ kī tamannā
ab chāñd kī thālī meñ kiran hai na diyā hai
ab dasht ke siine pe faqat aag bichhī hai
ab naqsh-e-kaf-e-pā hai na ab bāñg-e-darā hai
har aañkh chalātī huī tashkīk ke neze
har zehn tajassus kī ridā oḌh chukā hai
alfāz ke chehre se ayaañ shān-e-ḳhamoshī
hoñToñ pe savālāt kā ik jaal bichhā hai
kyuuñ shaam ko bāhoñ meñ ulajhne kī havas hai
kyuuñ sub.h kī palkoñ meñ koī ḳhvāb chhupā hai
kyuuñ raat ke māthe pe chamakte haiñ nagīne
kyuuñ din ke rag-o-pai meñ koī hashr bapā hai
mashriq ke darīchoñ se ghuTan jhāñk rahī hai
maġhrib kī fazāoñ meñ dhuāñ phail chukā hai
āshob-e-nazar ho ki tamannāoñ ke nashtar
har tasht meñ zaḳhmoñ kā ik ambār lagā hai
mandir ke gajar ḳhaak par ab chup se paḌe haiñ
masjid ke manāroñ kā sirā TuuT chukā hai
dīvār bhī dīvār se āzād nahīñ hai
mauhūm ḳhalāoñ meñ bhī zindān-e-havā hai
suqrāt tah-e-ḳhāk yahī soch rahā hai
ab zahr faqat pyaas bujhāne kī davā hai
ab najd ke sahrā meñ na kāñTe na sadā.eñ
ab qais hai koī na koī ābla-pā hai
yuuñ raat jab aa.ī hai to ruknā hī paḌā hai
dast-e-tah-e-sañg-āmada paimān-e-vafā hai
majbūrī o dāvā-e-giraftāri-e-ulfat
har ahd meñ tahzīb ne ye Dhoñg rachā hai