Shamim Hanafi

kitab paDhte rahe aur udas hote rahe

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
kitāb paḌhte rahe aur udaas hote rahe
ajiib shaḳhs thā jis ke azaab Dhote rahe
koī to baat thī aisī ki is tamāshe par
hañsī bhī aa.ī magar muñh chhupā ke rote rahe
hamī ko shauq thā duniyā ke dekhne kā bahut
ham apnī āñkhoñ meñ ḳhud sūiyāñ chubhote rahe
bas apne-āp ko paane kī justujū thī ki ham
ḳharāb hote rahe aur ḳhud ko khote rahe
zamīñ kī tarah samundar bhī thā safar ke liye
magar ye kyā ki yahāñ kashtiyāñ Dubote rahe
hameñ ḳhabar na huī aur din bhī Duub gayā
chaTaḳhtī dhuup kā bistar bichhā.e sote rahe
Top Urdushayar.com