roz o shab kī gutthiyāñ āñkhoñ ko suljhāne na de
aur jaane ke liye uTThūñ to vo jaane na de
surma.ī gahrā ḳhalā be-jān lamhoñ kā ġhubār
maiñ na kahtā thā gul-e-manzar ko murjhāne na de
yā dil-e-vahshī pe yuuñ ehsās kī yūrish na ho
yā bharī ābādiyoñ ko aise vīrāne na de
aarzū ke qahr se sāñsoñ kī kashtī ko bachā
bādbānoñ ko havā ke saath lahrāne na de
sun rahā huuñ der se jaate hue lamhoñ kī chaap
ab kisī ko sarhad-e-idrāk tak aane na de