safar nasīb agar ho to ye badan kyuuñ hai
dayār-e-ġhair tumhāre liye vatan kyuuñ hai
havā-e-shabnam-o-gul hai to be-ḳhudī kaisī
hisār-e-zāt meñ āshob-e-mā-o-man kyuuñ hai
bas ek aks-e-nazāra hai inkishāf-e-vajūd
kulāh-e-shīsha-garāñ meñ ye bāñkpan kyuuñ hai
nishāt-e-be-talbī jāda-e-najāt huā
ḳhabar nahīñ ki usī raah meñ chaman kyuuñ hai
libās-e-ḳhāk shafaq-rañg misl-e-shāḳh-e-chinār
bisāt-e-soḳhta-āmoz fikr-o-fan kyuuñ hai
garāñ hai tab-e-zamāna pe har sadā-e-nafas
ḳhayāl-o-ḳhvāb pe nuqtoñ kā pairahan kyuuñ hai