Shamim Hanafi

sham aai sehn-e-jaan mein KHauf ka bistar laga

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
shaam aa.ī sehn-e-jāñ meñ ḳhauf kā bistar lagā
mujh ko apnī ruuh kī vīrāniyoñ se Dar lagā
ek lamhe kī sharārat thī ki har lamha mujhe
āp-apnī samt se aatā huā patthar lagā
dhund sī phailī huī thī āsmāñ par duur tak
mauja-e-reg-e-ravāñ mujh ko tirā paikar lagā
ḳhāna-e-dil ko sajānā bhī hai ik shauq-e-fuzūl
kaun jhāñkegā yahāñ ye ā.īne bāhar lagā
jāgne vāloñ kī bastī se guzar jaate haiñ ḳhvāb
bhuul thī kis kī magar ilzām rātoñ par lagā
ḳhāmushī kī chār-dīvārī bhī shāyad gir chukī
aaj jaane kyā huā vo shaḳhs bhī be-ghar lagā
Top Urdushayar.com