Shamim Hanafi

band kar le khiDkiyan yun raat ko bahar na dekh

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
band kar le khiḌkiyāñ yuuñ raat ko bāhar na dekh
Dūbtī āñkhoñ se apne shahr kā manzar na dekh
kyā pata zanjīr meñ Dhal jaa.e bistar kī shikan
ye safar kā vaqt hai ab jānib-e-bistar na dekh
ḳhaak o ḳhuuñ mīrās terī ḳhaak o ḳhuuñ terā nasīb
is ziyāñ-ḳhāne meñ apne paañv kā chakkar na dekh
tū ne jo parchhā.iyāñ chhoḌīñ vo sahrā ban ga.iiñ
ai nigār-e-vaqt ab pīchhe kabhī muḌ kar na dekh
Top Urdushayar.com