hijr kā qissa bahut lambā nahīñ bas raat bhar hai
ek sannāTā magar chhāyā huā ehsās par hai
ik samundar be-hisī kā ek kashtī aarzū kī
haa.e kitnī muḳhtasar logoñ kī rūdād-e-safar hai
maiñ azal se chal rahā huuñ thak gayā huuñ sochtā huuñ
kyā tirī duniyā meñ har manzil nishān-e-rahguzar hai
is fasīl-e-ġham ko sar karne pe bhī kyā mil sakegā
ek dīvār-e-havā hai ek terā sañg-e-dar hai
Dūbne vaale sitāre ko bhalā kab tak pukāre
zindagī kī raat ko sūraj ke hañs dene kā Dar hai
dekh le mujh ko abhī kuchh raushnī baaqī hai mujh meñ
shaam tak ik ret kā tūfān aane kī ḳhabar hai