Shamim Hanafi

tumhaare chaak par ai kuza-gar lagta hai Dar hum ko

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
tumhāre chaak par ai kūza-gar lagtā hai Dar ham ko
ajab pāgal sī ik parchhā.īñ aatī hai nazar ham ko
ye kaisī baat hai din kī ghaḌī hai aur añdherā hai
chamaktī dhuup meñ sonā paḌā hai rāt-bhar ham ko
hameñ ghar se nikālā thā to ye bhī soch lenā thā
ki sāhab phir kabhī aanā nahīñ hai lauT kar ham ko
abhī thoḌā sā shāyad aur kuchh qissa chukānā hai
abhī kuchh aur thoḌī duur karnā hai safar ham ko
nahīñ ma.alūm kis chakkar meñ ye hālat banā Daalī
liye jaatā hai ik dariyā-e-be-tābī kidhar ham ko
Top Urdushayar.com