Shamim Hanafi

tilism hai ki tamasha hai kaenat uski

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
tilism hai ki tamāshā hai kā.enāt us kī
charāġh-e-hijr se raushan rahegī raat us kī
zamīn ho ki zamāñ sab usī ke mohre haiñ
bichhī huī hai bahut duur tak bisāt us kī
hamāre saath bhī hote haiñ tajrabe us ke
hamāre haal meñ shāmil hai vārdāt us kī
shikast o fat.h meñ kyā farq hai nahīñ ma.alūm
ye kyā ki jiit hamārī hai aur maat us kī
use ḳhamosh bhī rahnā thā ek pal ke liye
samajh sakā na koī anjuman meñ baat us kī
idhar ye niiñd udhar jāgte hue saa.e
ajiib silsila-e-ḳhvāb hai hayāt us kī
Top Urdushayar.com