Shamim Hanafi

samajh sake na jise koi bhi sawal aisa

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
samajh sake na jise koī bhī savāl aisā
bunā hai saañs ke dhāgoñ ne ek jaal aisā
kabhī dimāġh thā mujh ko bhī ḳhud-parastī kā
palaT ke zehn meñ aayā na phir ḳhayāl aisā
maiñ āsmāñ to na thā jis meñ chāñd chhup jaate
huā na hogā kisī kā kabhī zavāl aisā
tamām umr na.e lafz kī talāsh rahī
kitāb-e-dard kā mazmūñ thā pā.emāl aisā
kinār-e-āb na pahuñchegī jaan kī kashtī
bahut dinoñ se hai paanī meñ ishti.āl aisā
Top Urdushayar.com