zer-e-zamīñ dabī huī ḳhaak ko āsāñ kaho
harf-e-ḳharāb-o-ḳhasta ko zid hai ki dāstāñ kaho
āb-e-siyāh pher do bāb-e-vafā ke naqsh par
shahr-e-anā meñ jab kabhī qissa-e-dīgarāñ kaho
kaun sharīk-e-dard thā ātish-e-sard ke sivā
raakh haqīr thī magar raakh ko mehrbāñ kaho
duur ḳhalā ke dasht meñ misl-e-sharār sabt haiñ
kis ne unheñ ḳhafā kiyā kyuuñ hue bad-gumāñ kaho
sañg-e-sazā kā ḳhauf bhī bistar-e-jāñ se uTh gayā
saltanat-e-jalāl ko TuuTī huī kamāñ kaho
ā.ina-e-sarāb hai gard pas-e-habāb hai
Thahrī huī hai zindagī phir bhī ise ravāñ kaho
shaam huī to jal uThe raat Dhalī to bujh ga.e
ham bhī yūñhī fanā hue ham ko bhī rā.egāñ kaho