Shamim Hanafi

ye rishta-e-jaan meri tabahi ka sabab hai

Shamim Hanafi

Sultanpur, Uttar pradesh, India

1938
ye rishta-e-jāñ merī tabāhī kā sabab hai
is qaid se chhuTne kī tamannā bhī ajab hai
is arsa-e-mahshar meñ ḳhamoshī bhī sadā hai
TuuTī huī qabroñ meñ baḌā shor-o-sha.ab hai
sūraj ko ye zid us kī ik buuñd na rah jaa.e
hoñToñ ko faqat pyaas bujhāne kī talab hai
chehre pe thakan saañs kī zanjīr pareshāñ
āñkhoñ meñ magar ab bhī vahī ġhaiz-o-ġhazab hai
kyuuñ dil ko ye hasrat hai kisī aur ko paale
is shahar meñ mujh sā koī pahle thā na ab hai
Top Urdushayar.com